Saturday, September 3, 2011

Happy Wala Birthday !


Bachpan mein janamdin ki bhi kya baat hua karti thi ,
Jab subah subah papa ki aawaaz se aankh khula karti thi ,
“Utho bete aaj zayda der tak sona thik nahi
Jaldi naha dhoke zara apna huliya bana lo sahi” !
 
Phir papa ke haath se paani ki chheetein chehre pe padti thi ,
Aur tab mummy paapa ko zara daant ke kehti thi ,
“Aaj toh der tak sone dijiye mere laal ko ,
Janamdin hai uska , khushi se shuru karne dijiye saal ko”!
Yeh sunkar karvat badal ke hum phir sone lagte, 
Per kitchen se aati sarrrrr si aawaz se phir hum jagte,   
Adhkhuli aankon se kitchen mein jhaankte toh dikhta ki kuch mithaai ban rahi hai,
Aate ke chhote chhote roth bane hain aur kadhaai mein puriyaan tal rahi hai ,
Baad mein gaajar ka halwa bhi banega , abhi toh bas maal pue ki tayaari hai
Aur bas itna samajh aata ki jo bhi ban raha hai uski khushboo bahut pyari hai !
 
Hum jhat se uth ke naha dhoke tayaar ho jaate,
Pooja room mein thodi prarthna karke agarbatti jalate,
Mummy hume sab mushqilon se duur rakhne ko bhagwaan se kehti,
Aur didi apni pocket money se khareed kar hume cheezien gift karti !
 
Raat se almaari mein rakha ek chamkeela dabba humari bechaini ko badhata,
Per subah use apni taraf aata dekh mann atee prasann ho jata,
“Accha padho aage badho” yeh kehkhe papa woh hath mein thama dete,
Aur hume pyar se puchkaar kar ‘happy birthday to u beta’ kehte !
  
Us din toh bas ik sama sa bandh jata tha,
Nai shirt pehenke main bhi  khoob itrata tha !
 
Phir sham ko doston ke sang , kiya  karte the jo huddang,  
Uska kahan kuch hisaab rehta tha ,
Sare ke sare gift main jald se jald khol doon ,
Mann mein bas yehin khayal rehta tha !
 
Yahan wahan hasi khel mein ,
bhaagam bhaag aur thelam thel mein
Saara din nikal jata tha ,
Ek hi din mein itna laad pyaar paake main bhi phoola nahi samata tha !
Phir us raat aankhon mein ik chamak si reh jaati thi
Nindiya rani bhi dheeme dheeme se hume sulati thi
Har din aisa ho apna ,  zubaan bas yehi gaya karti thi
Bachpan mein janamdin ki bhi kya baat hua karti thi !