Sunday, May 6, 2012

Aey Dil !

Yepp I am back with hardcore shayri stuff..:) Haven't really written much , but a few lines in which I have tried to capture the happenings of our fast paced life.. just read it n tell me your views , and in the meantime I'll think of few more good lines which I can add to this post..

Aey dil kabhi sochta kyun nahi hai tu, 
kuch karne se khud ko rokta kyun nahi hai tu !
Ek lambe safar si chalti ja rahi ye zindagi , har mode per liye kahani ik nayee !
Kuch kahaniya tujhe gham hain deti , kuch tujhe deti hain khushiyaa,
Tezz raftaar se badalti ja rahi hai tere aas paas ki duniya !
Is duniya mein naye naye chehro se padta hai tera vaasta,
Koi chehra hamsafar banta hai toh koi bas dikhata hai tujhe raasta !
Phir kuch meelon baad woh humsafar tera sath chhod jata hai,  
Kyunki manzil ko pane ki hode mein tu bahut aage daud jata hai!
Jaane phir bhi thakta kyun nahi hai tu, kyun uff tak karta nahi hai tu,
Aey dil kabhi sochta kyun nahi hai tu, 
kuch karne se khud ko rokta kyun nahi hai tu !!

2 comments:

  1. hehe..thats true..m planning to write another one as
    'Aey dil itna kyu sochta hai,kuch karne se khud ko kyu rokta hai':)

    ReplyDelete